Bakwaas Snippets :D


a public matter of personal concern

@kisi-ne-banaya: maine weekend pe non veg cook kiya

@kisi-ne-pakaya: non-veg banana kya itna exciting hota hai?

@kisi-ne-banaya: non veg banana kya hota hai?? :-O...mujhe to ek hi banana pata hai ...wo fruit hota hai...

@kisi-ne-pakaya:uffo, agar ba aur nana non-veg hongey toh banana non-veg hi hua na :| infact agar ba aur nana main se koi ek bhi non-veg hua toh bhi banana non-veg hi hoga :P and by all means, nana patekar to mujhey non-veg hi lagta hai, aur kuch khaye na khaye, sabka dimaag to khaata hi hai :D :P

@kisi-ne-banaya: ba aur nana mein "AND" hai kya?? ;P

@kisi-ne-pakaya: arrey, ab ba aur nana mein kya hai kya nahin ye humey kaise pata, ye unka personal matter hai, aur doosro ke personal matters main dakhal andaazi, ye acchi baat nahin hai :P

@kisi-ne-banaya: mai to bas ye soch rahi thi ke agar in dono mei se koi ek bhi non veg hai to banana non veg hai...aisa kyun?? :-O aur ab "matter" bhi personal hone lag jayenge to "aloo matter" kaise banenge...??? :-O

@kisi-ne-pakaya: hmmm, its a matter of concern!! infact, its a public matter of personal concern :|



More....

Wednesday, September 19, 2007

arz kiya hai...

Log kahate hai ki pyar itna bhi mat karo ki
girlfriend sar par sawar ho jaye,
Hum kehte hai ki pyar itna karo ki,
girlfriend ki frnd bhi apke sath faraar ho jaye

....

wah wah!!

magar dhyaan ye rakhna dost,
kahin aisa na ho ki in dono main pehle taqraar ho jaaye,
fir dono main kuch karaar ho jaaye,
aur tere qatl ka samaan tayyar ho jaye!! :O

...
:D :D...cool!!

punjabi mei 2 lines arz hain...

kach da ki pehnna jehda thes lage tut jaye
aashiq da ki manna jehda jhal ke jutti mar jaye!!...


mera original nahi hai.....:P....samajh aa gya na?


....

han aa gaya :) :D wah!! wah!!
arz kiya hai...


aashiq wohi jo maashooq ke haathon qatl ho jaaye
uski friend ke haathon marne waale ko toh
pati kehte hain ;)

to be continued...

0 comments: